Allah Ta'ala Ki Baargah me Uske Mehboob Bando ko waseela banana 5⃣

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Allah Ta'ala Ki Baargah me Uske Mehboob Bando ko waseela banana 🥀*



*✔ Hadees No. 05*

✏️Hazrate Abdullah Ibne Deenar رضي الله عنه se marvi hai ki Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه jab safar ko nikalte yaa jab safar se wapas aate to Pehle Rasoolullah ﷺ ki qabre Anwar par haazri dete Huzoor ﷺ par durood padhte aur waha dua mangte fir laut jaate 

📚 Mu'atta Imaam Malik Baab Qabarin-Nabi'e ﷺ Safa 396 

Hazrate Abdullah Ibne Umar رضي الله عنه ka safar se aate aur jaate waqt Qabre Anwar par khade ho kar Durood Shareef Padhna aur dua Mangna yaqeenan Baade wisaal Aap ﷺ Ki Qabre Anwar ko aur Baad Wisaal Aap ﷺ ko Waseela banana hai warna Dua har jagah Maangi jaa sakti hai Qabre Anwar par Dua Mangne ka Aakhir aur kya matlab Hai ??

Ustaade Zaman Farmate Hai
🌴 Hashr Mein Ek Ek Ka Munh Takte Firte Hai Adu 
Aafaton Mein Phans Gaye Unka Sahara Chhor Kar 🌴

Huzoor Mufti E Aazam Hind Farmate hai 
🌴 Bas Yahi Sarkaar Hai Jisse Hamesha Paayenge 
Dene Wale Dete Hain Kuchh Din Sadaa Milta Nahin 🌴



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ