Waseela ka ma’ana hai ‘ALLAH ta’ala ki Qurbat ka zareeya
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
🥀 *WASEELA BILKUL JAYZ HAI*🥀
Waseela ka ma’ana hai ‘ALLAH ta’ala ki Qurbat ka zareeya..
Waseele ki 2 qisme hain :
Apni Ibaadat aur nek aamal ko Waseela banao..
ALLAH Ta’ala ke Muqarrab Bando ko Waseela Banao.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
ALLAH ta’ala ke muqarrab bando me Ambiya, Auliya, Shohada, Ahle bait aur Saleheen saamil hain....
Huzoore akram sallallahu alaihi wa sallam ke zamaane me sahaba aap ke waseele se dua maangte aur Apni murade haasil karte the.
Khulfa e Raashideen ke zamaane bhi aur Tabi’een aur Taba tabi’een ke zamaane me bhi aur Har daur me Mo’mino ne Waseele ke saath ALLAH Ta’ala se dua maangi hai aur ALLAH ta’ala ne un ki Murado ko puri farmaya hai.
Har zamaane me sab se bada waseela ALLAH ke Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ka hai....
Auliya Allah ALLAH ta’ala ke muqarrab bande hote hain.
In ki zaahiri zindagi me bhi aur Wisaal ke baad bhi unke waseele se ALLAH ta’ala se dua karna jaaiz hai.
ALLAH ta’ala ne apne muqarrab Ambiya, Auliya aur Shohada ko wisaal ke baad bhi Aalame baqa me hamesha ki zindagi ata farmai hai.
⛔AALAME BAQA WALA PART KAL SEND HOGA INSHAA ALLAH....
In ke waseele se dua karne se wo baargahe ilaahi me jaldi qubool hoti hai.
Jis tarah lift (elevator) se jaane wala stair-case se jaane wale se pehle pahunchta hai.
Ya speed post se bheje jaane wale khat simple post se bheje jaane wale khat se pehle pahunchte hain.
Is ke 2 tareeqe hain :
Tawassul - Auliya allah ke Aaseele se ALLAH se dua mangna.
Istegaasah - Auliya Allah se ilteja karna ke ALLAH ta’ala se hamari Murad dila den.
Tawassul :
✅Hadeese Nabawi :
Apni dua me Nabi aur Wali ka batore waseela zikr karna Mustahab hai.
📒(Tirmizi, Jild -2, Hadees -198)
Istegaasah :
✅Hadeese Nabawi :
Hazrat Abdullah bin Umar radi-Allahu ta’ala anhu se riwayat hai ki :
Huzoor Rasool-Allah sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya,
Beshak ALLAH ta’ala ke kuchh khaas bande aise hain ke ALLAH ta’ala ne unhe makhlooq ki haajat rawai ke liye khaas farmaya hai.
Log apni haajaten un ke paas lekar aate hain (aur wo un ki haajat rawai karte hain). ALLAH ta’ala ke wo khaas bande azaabe Ilaahi se amaan me hain.’
Huzoore akram Nabi e kareem sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ki
🌼“Jab tum me se kisi ki sawaari jangal me chhut jaaye ya koi cheez kho jaaye to is tarah pukarna chahiye,
‘Aainooni Ya Ibaad-Allah ya’ni Aye ALLAH ke bando, meri madad karo’,
Aisa 3 baar kahe.
Kyun ki ALLAH ke bahut se aise bande is zameen par hote hain, Jo tumhari madad karenge.”
📔(Tibraani Kabeer, Hadees -105 18)
📒(Fatah-ul qadir, Jild – 1, Safa -92)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Jin ko ye lagta hai ke apni Ibaadat aur nek aamal ALLAH subhan wa ta'aala ke qareeb hone ke liye aur use raazi karne ke liye mukammal (perfect) aur kaafi (sufficient) hai wo sirf apni Nekiyo par yaqeen rakhkar use waseela bana sakta hai.
Aur Ahle sunnat wal jama’at ko lagta hai ke hamare Nek aamal kitne bhi ziyada aur behtareen ho
ALLAH ta’ala ke qareeb hone ke liye apne nek aamal ke saath ALLAH ke Habeeb Pyare Aaqa sallallahu alaihi wa sallam aur Ahle bait aur Auliya Allah, Shohada, Ahle bait aur Saaleheen ka waseela lena mustahab aur zaroori hai aur jaaiz bhi hai.
Mo’mino ke liye ALLAH ta’ala ki Ata se Nabi e kareem sallallahu alaihi wa sallam aur tamaam Auliya Allah ‘Madadgaar’ hain.
☑Qur’an :
📓(5 Surah al-Maidah, Aayat 55 )
Beshak tumhare madadgar (aur dost) ALLAH aur us ke Rasool hain aur wo Eimaan wale (Auliya) jo namaaz qaaim rakhte hain aur zakaat ada karte hain aur (ALLAH ke huzoor) jhukne wale hote hain.
Kaafiro aur bad-mazhabo ke liye koi madadgaar nahi hai.
☑Qur’an :
Aur jise ALLAH gumraah thehra de to us ke liye us ke ba’ad koi madadgar na hoga.
📓(Surah ash-Shoora, Aayat 44 )
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
🌼ALLAH ta’ala sab ka Haafiz aur Naasir hai aur ye us ki ‘Zaati’ sifaat hai.
Aur wo apne muqarrab bando ko ye sifaat ata farmata hai ya’ni ye un ke liye ‘Ataai’ hai.
ALLAH ke muqarrab bande ALLH ta’ala ki ata se logo ko Madad farmate hain aur ise ‘Iyaanat (Assistance)’ kehte hain.
Agar hum ALLAH ta’ala ke liye ya sifaat Ataai maane ya’ni kisi aur ki Ata ki gai,
Ya bando ke liye ye sifaat Zaati maane ya’ni bagair ALLAH ta’ala ki Ata ki hui,
To ye Shirk hai.
Magar hum to ye maante hain ke in bando ke liye in sifaat ko ‘Ataai’ hai ya’ni ‘ALLAH ta’ala ki Ata ki hui’.
Kyun ki Rabbul Aalamin hame koi ne’amat ata farmata hai to hum kehte hain ‘Alhamdulillah’
(ALLAH ke liye hi tamaam ta’arif hai.)
Aur jab (ALLAH ta’ala ki ata se) koi insaan hame madad karta hai ya koi Mashwara deta hai to hum kehte hain
‘Jazaak-Allah khair’
(ALLAH ta’ala tumhe behtar badla ata farmae).
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Lekin ye yaad rakhen ke Sirf ALLAH ta’ala se hi dua maangni hai.
Wo hi sab ka Rabb aur Ma’abood hai Aur wo hi sab ka Khaliq o Maalik hai, Wo hi Haafiz wa Naasir hai aur Razzaaq hai aur har ne’amat dene wala hai.
Sirf apni Dua me Nabi e kareem sallallahu alaihi wa sallam ka ya Auliya Allah, Shohada, Ahle bait aur Saaleheen ka waseela lena hai.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
ALLAH ta’ala us ke Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Auliya Allah, Shohada, Ahle bait aur Saaleheen ke waseele se
Sab ko hidayat ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae.
Aur Sab ko dunya aur aakhirat me bhalai ata farmae aur Sab ki nek jaaiz murado ko puri farma.
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें