Waseela - Tawwasul Intercession Quran Hadees Ki Roshni Mein
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 Waseela Tawwasul Intercession Quran Hadees Ki Roshni Mein 🥀*
*❖ Post:-02 ❖*
بسم الله الرحمن الرحيم
الصلوة والسلام عليك يا رسول الله ﷺ
Waseela Quran Se Saabit Hai
"Aye Imaan Waalo, Allah Se Daro Aur Uski Taraf Waseela Talash Karo Aur Uski Raah Me Zihad Karo, Is Ummid Par Ki Tum Falaah Paao" (Surah Al Maida Ayat 35)
Quran e Pak ki aayat se ye wajah hua k Waseela ka saaf hukm Quran me mauzood hai ab iska direct hi inkaar karne waala kaafir hoga ye shirk to ho hi nahi sakta agar Waseela Shirk hai to kya Quran me Allah khud hi iska hukm de sakta hai ?? hargiz nahi lekin Sawal ye hai k waseela kis ka jaiz hai kiska nahi hai zaahir si baat hai Allah Subhanawta'la uska hi waseela pakadne ko pasand karega jo Allah ki bargaah me makbool ho aur Allah un chizo ko Qurbiyat o Makbooliyat Di ho. Is pure article ko padhne k baad aap ko waseele k talluk se kaafi aitraaz khatm hojaynge. Insha Allah عزوجل
Waseele Ka Maane
"Jiske Jariye Kisi Tak Pahucha Jaaye Aur Uska Kurb Hasil Kiya Jaaye" (Ref : by Ibn Manjur, Imam of Lughat Lihsansul Arab Jild : 11 pg : 725)
“Jiske Jariye Kisi Se Kurb Aur Nazdiki Haasil Ki Jaaye Usko Waseela Kehte Hai” (Ref : Al Tarifaat Pg : 225)
Waseela ALLAH عزوجل ka Qurb haasil karna hai, Ahle Sunnat wal jamaat me Waseela kay taluq me Hayat o wafat ka paimana hi nahi Balki Qurbiyat dekhi jaati hai kay ALLAH عزوجل ne kise shafi banaya, kise qurbiyat ataa ki hai aur inhi ka waseela talash karne ka hukum bhi aaya hai Quran me. Lekin Wahbi kehte hai Baad wafat Waseela Jayaz nahi toh is per hum ilzami sawaal karte hai ki Jab NABI ﷺ zahiri duniya me maujud the toh waseela Jayaz tha aur beshak ALLAH عزوجل ne aapko who qurbiyat ataa ki kay aapki dua kabhi radd nahi hosakti toh Wahbiyon ko chahiye ki aisi dalil pesh kare kay jisse yeh saabit ho ki Zahiri duniya me Qurb tha aur wafat baad Qurbiyat khatam hojaati hai.
NOTE: Qayamat Tak ka Waqt Deta hu, yeh Dalil Laakar Dikhade.
*....Jari....Hai...Inn Shaa ALLAH...*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
https://chat.whatsapp.com/BlTnmJKrHakLQ0Y3Q9Q1KC
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें